Khamosh lab hain jhuki hain palken
Dilon mai ulfat nayi nayi hai
Abhi takaluf hai guftugu maiAbhi muhabbat nayi nayi haiAbhi na ayegi neend tum koAbhi na hum ko sukoon milegaAbhi to dharke ga dil zyadaAbhi ye chahat nayi nayi haiBahaar ka aaj pehla din haiChalo chaman mai tehel ke ayenFiza mai khushbo nayi nayi haiGulon mai rangat nayi nayi hai
Jo khandani raees hain wo
Mizaaj rakhte hain narm apna
Tumhara lehja bata raha hai
Tumhari dolat nayi nayi hai
Zara sa qudrat ne kya nawaza
Ke aake bethe ho pehli saff mai
Abhi se urhne lage hawa mai
Abhi to shohrat nayi nayi hai


No comments:
Post a Comment